Online Earning

Thursday, 22 December 2016

Top 5 Ways To Earn Money Online. Online Paise Kamane Ke Liye Jane 5 Tarike.

Jane 5 Tarike Online Paise Kamane Ka.

Namaskar Doston Main Kunal Soni Swagat Hai Aapka Is Post Me Aap Hamesha Internet Par Online Paise Kamane Ke Aashan Aur Viswasniya Tarike Dhundhte Rahte Hai Lekin Aap Khoj Khoj Kar Thak Jate Hai Ki Koi To Sahi Tarika Mile Paise Kamane Ka, Har Tarika Ajma Liya Koi Success Nahi Hota, Ya Fir Ye Kam Mere Bas Ki Baat Nahi, Isme Bahut Jyada Mehnat Hai Ya Fir Ye Kafi Long Term Hai. Koi To Short Term Mile Paise Kamane Ka Ki Ek Hi Din Me Chappar Phar Ke Paise Aane Lage. Ek Hi Din Me Apna Bank Account Full Kar Le.

To Dosto Sawdhan.. Ap Jo Soch Rahe Hai Waisa Bilkul Nahi Hoga. Internet Par Bahut Sare Apko Aise Post Milenge Ki Ye Kam Kare Aur Din Ke 200$ Kamaye, Ye Video Ko Dekhe Aur Aur Ajmaye Is Kam Ko Aur Per Ghante 1000 Rupay Kamaye. Ye Sare Faulse Hai. Is Sabhi Chakkaro Me Nahi Pare To Behtar Hai.
Haa, Ye Baat Me 100% Ki Sacchayi Hai Ke We Log Internet Se Kafi Sare Paise Kama Rahe Hai Lekin Unke Piche Unki Barson Ki Mehnat Chipi Hai. Wo Kai Salon Se Ushi Kshetra Me Mehnat Kar Rahe Hai Tab Jakar Unki Acchi Khasi Kamai Ho Rahi Hai. Lekin Aap Jo Sochte Ho Ki Ek Hi Din Me Carorepati Ban Jaye To Ye Aapko Murkhta Hogi.

Dosto Koi Bhi Kaam Aashan Nahi Hota Hai. Har Kam Me Mehnat Karni Parti Hai, Bina Mehnat Ke Kuch Bhi Hasil Nahi Hone Wala. Bas Kuch Log 8 Ghante Daily Work Kar Ke 300 Rupay Kama Lete Hai To Kuch Log Pura Saal Bhi Kaam Karke Paise Nahi Kama Pate Hai Bas Ek Long Term Ke Earning Ke Liye. Agar Aap Sochte Ho Ki Koi Aisa Kaam Kare Ki Ek Hi Din Me Raja Ban Jaye To Wo Kafi Khatarnak Hi Rasta Ho Sakta Hai. Aap Hamesha Hi long Term Ke Bare Me Sochiye Jo Ki Aap Ko Ek Behtar Income De. Agar Aap Ek Ped Laga Rahe Hai To Baad Me Jakar Nishchit Hi Ye Aapko Salo Saal Phal Dete Rahega, Aur Har Saal Aap Uske Phal Ko Kha Sakenge Aur Agar Aap Ek Din Hi Dher Sara Phal Kharid Kar Le Ayenge Aur Sochenge Ki Ishe Salo Saal Khaye To Ye Sara Kharab Ho Jayega.

To Dosto Chaliye Aaj Ke Is Post Me Main Aapko Kuch Internet Par Short Term Aur Long Term Ke Work Karne Ke Liye Batata Hoo Jo Sacchi Aur Vishwasniya Hai, Genuene Work Hai Aur Aap Isse Income Kar Sakte Hai. Agar Short Term Income Karna Chahte Ho To Din Ke Lagbhag 300 Rupay Aashani Se Kama Loge Lekin Ye Aapko Hamesha Hi Mehnat Karna Parega Aur Aap Hamesha Ek Labour Ki Tarah Khat te Hi Rah Jayiyega,
Aur Agar Long Term Work Karte Ho To Salon Lag Jayenge Pahli Kamayi Ane Me. Aur Fir Agar Kamane Lagoge To Fir Bhavishya Me Kabhi Sochna Nahi Parega Kamane Ke Liye. Bas Aap Sote Rahiye, Ghumte Rahiye, World Tour Karte Rahiye Aapki Kamayi Hote Hi Rahegi.

To Aaj Mai Aapko Paise Kamane Ke Kuch Upay Batane Wala Hoo. Waise To Bahut Sare Tarike Hai Paise Kamane Ke Lekin Wo Acchi Earning Nahi Degi. Lekin Jo Acchi Earning Degi Uske Bare Me Batane Ja Raha Hoo. Jo Is Prakasr Se Hai........

1. Youtube - Youtube Ek Aisa Plateform Hai Jaha Par Duniya Bhar Ke Log Din Raat Search Karte Rahte Hai, Jiski Trafic Kafi Jyada Hai. Duniya Ke Har Hisse Ke Log Youtube Se Connect Hai, Yaha Par Har Warg Ke Log Ate Hai. Aur Hame Wahi Jariya Paisa Dega Jispe Jyada Se Jyada Log Ate Hai. To Youtube Apke Liye Bahut Hi Accha Tarika Ban Sakta Hai Paise Kamane Ka. Jane Ki Youtube Se Paise Kaise Kamate Hai Click Kare......

2. Affliate Marketting - Affliate Marketting Ek Aisi Market Place Hai Jaha Par Aap Ghar Baithe Bare-Bare E-Commerce Company Ke Partner Ban Sakte Ho Aur Uske Product Ko Online Promote Karke Usse Commision Kama Sakte Ho.  Flipcart, Snapdeal, Amazon Jaise E-commerce Companiya Affliate Programmer Provide Karati Hai. Ap Iske Bare Me Jyada Jankari Yaha Par Click Kar Ke Le Sakte Hai............... Click Kare..............

3. Blogging - Aapme Agar Kisi Topic Par Likhne Ki Kala Hai To Aap Blogging Ki Shuruat Karke Bhi Paise Kama Sakte Hai. Bloging Ke Bare Me Jyada Jankari Ke Liya Yaha Click Kare.........

4. Facebok Fanpage - Agar Aapke Pass Koi Aapka Fanpage Hai Jispar 10000 Se Jyada Likes Hai To Aap Fiverr Par Jakar Apna Account Bana Le Aur Waha Par Ek Gigs Taiyar Kar Le Jaise Ki '' I Will Share Your Post 10000 Thousend Likes On My Facebook Fanpage. Aur Aapko Per Share Ke 5 $ Milenge  Agar Aap Din Bhar Me 10 Post Share Kar De To Aapke 5$*10= 50$ + 35000 Lagbhag Ek Din Ke Ban Jayenge To Ye Tarika Bhi Aapke Liye Kafi Accha Ho Sakta Hai.

Facebok Se Paise Kaise Kamaye Ye Janne Ke Liye Click Kare..

5. Captcha Work - Agar Aapki Typing Speed Acchi Hai To Aap Online Captcha Work Kar Sakte Hai Jisme Aapko 1000 Captcha Type Karne Ke Lagbhag 1$ Mil Sakte Hai Kuch Captcha Websito Ke Naam Is Prakar Se Hai. Megatypers, Cash2captcha, 2captcha, Kalotibablo, Etc Our Bhi Bahut Sare Captcha Websites Hai Aap Unpar Registration Karakar Aashani Se Ghar Baithe Online Work Kar Sakte Ho Aur Acchi Khasi Income Generate Kar Sakte Ho.

Paytm Ke Bare Me Jankari Ke Liye Yaha Click Kare....

To Dosto Ye The 5 Tarike Online Paise Kamane Ka. Ye Sare Geniune Work Hai Aap Inse Acchi Khasi Income Generate Kar Sakte Ho. Haa AUr Ye Post Unke Liye Nahi Hai Jo Ki Kam Shuru Karne Se Pahle Hi Ye Sochte Hai Ki Kitne Din Me Paisa Kamane Lagenge Aur Kitna ? Meri Yah Ray Hai Ki Aap Kam Shuru Kijiye Paisa Apne Aap Aapke Pas Daur Kar Ayega. Agar Aapko Ye Post Accha Laga Ho To Comment Box Me Jarur Bataye. Aur Agar Kuch Aur Sawal Ho Is Post Se Jure To Wo Bhi Aap Puch Sakte Hai Comment Box Me.
Dhanyawad.................

No comments:

Post a Comment